If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Sunday 1 September 2013

Wohi Hisaab-E-Tamanna Hai, Ab Bhi Aa Jao

Wohi Hisaab-E-Tamanna Hai, Ab Bhi Aa Jao,
Wohi Hai Sar Wahi Sauda Hai, Ab Bhi Aa Jao,


Jisay Gaye Huay Khud Se Ab Ik Zamana Hua,
Wo Ab Bhi Tum Main BhaTakta Hai, Ab Bhi Aa Jao,


Wo Dil Se Haar Gaya Hai Par Apni Daanish Mein,
Wo Shakhs Ab Bhi Yagaana Hai, Ab Bhi Aa Jao,


Main Khud Nahi HooN Koi Aur Hai Mere Andar,
Jo Tum Ko Ab Bhi Tarasta Hai, Ab Bhi Aa Jao,

Main Yaan Se Janay Hi Wala HooN Ab, Magar Ab Tak,
Wohi Hai Ghar Wohi Hujra Hai, Ab Bhi Aa Jao,


Wohi Kasha-Kash-E-Ehsaas Hai Ba Har Lamha,
Wohi Hai Dil, Wohi Duniya Hai, Ab Bhi Aa Jao,


TumheiN Tha Naaz Bohat Jis Ki Naam-Daari Par,
Wo Saaray Shehar Main Ruswa Hai, Ab Bhi Aa Jao,


YahaN Se Saath Hi KhuwaaboN K Shehar JayeiN Gay,
Wohi JunooN, Wohi Sehra Hai, Ab Bhi Aa Jao,


Meri Sharab Ka Shohra Hai Ab Zamaanay Mein,
So Ye Karam Hai To Kis Ka Hai, Ab Bhi Aa Jao,


Ye Taur ! Jaan Jo Hai Meri Bad-Sharaabi Ka,
Mujhe Bhala Nahi Lagta Hai, Ab Bhi Aa Jao,


Kisi Se Koi Bhi Shikwa Nahi Magar Tum Se,
Abhi Talak Mujhe Shikwa Hai, Ab Bhi Aa Jao,


Wo Dil K Ab Hai Lahoo Thookna Hunar Jis Ka,
Wo Kum Se Kum Abhi Zinda Hai, Ab Bhi Aa Jao,


Na-Janay Kya Hai K Ab Tak Mera Khud Apne Se,
Wohi Jo Tha, Wohi Rishta Hai, Ab Bhi Aa Jao,


Wujood Aik Tamasha Tha Hum Jo Dekhtay Thay,
Wo Ab Bhi Aik Tamasha Hai, Ab Bhi Aa Jao,


Abhi Sadaa-E-Jaras Ka Nahi Hua Aaghaaz,
Gubaar Abhi Nahi Utha Hai, Ab Bhi Aa Jao,


Hai Mere Dil Ki Guzaarish K Mujh Ko Mut Chhoro,
Ye Meri JaaN Ka Taqaaza Hai, Ab Bhi Aa Jao,


Kabhi Jo Hum Nay Baray Maan Se Basaaya Tha,
Wo Ghar Ujarnay Hi Waala Hai, Ab Bhi Aa Jao,


Wo John Kon Hai, Jaanay Jo Kuch Nahi Sunta,
Hai Jaanay Kon Jo Kehta Hai, Ab Bhi Aa Jao ...

No comments:

Post a Comment