If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Wednesday 4 September 2013

Shauq ka rang bujh gaya, yaad k zakhm bhar gaye

Shauq ka rang bujh gaya, yaad k zakhm bhar gaye

Kya meri fasl ho chuki, kya mere din guzar gaye ?

Hum bhi hijab dar hijab chhup na sakay, magar rahay

Wo bhi hujoom dar hujoom reh na sakay, magar gaye

Rahguzar E khayal mein dosh ba dosh thay jo log

Waqt ki gard O baad mein janay kahan bikhar gaye

Sham hai kitni be tapaak, shaher hai kitna sham-naak

Hum_nafso kahaan ho tum, janay ye sab kidhar gaye

Aaj ki raat hai ajeeb, koi nahi mere qareeb

Aaj sab apne ghar rahay, aaj sab apne ghar gaye

Hifz E Hayaat ka khayal hum ko bohat bura laga

Pas Ba-Hujoom E Ma'rekaa, jaan k be sipar gaye

Main to safon k darmiyaan, kab say para hoon Neem-jaaN

Mere tamaam Jaan-nisaar mere liye to mar gaye

Raunaq -E- bazm -E- zindagi, turfaa hain tere log bhi

Ik to kabhi na aaye thay, aaye to rooth kar gaye

Khush nafasaan E Be-Nawaa, Be-khabraan -E- khush adaa

Tera naseeb thay magar shaher mein naam kar gaye

Aap mein 'Jaun Elia' sochiye ab dharaa hai kya

Aap bhi ab sidhaariye, aap k chaara-gar gaye ...

No comments:

Post a Comment