If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Sunday 1 September 2013

Tere sheher ki barkha rutt mein,hum jo bheegay,yaad rahay ga

Tere sheher ki barkha rutt mein,hum jo bheegay,yaad rahay ga
Bheegi shaam mein rim jhim baaten, hum jo doobay,yaad rahay ga


Teri khatir aankhon ko to rasta takna bhaya tha
Soonay bench pe pair ke neechay,tujh sung bethay,yaad rahay ga


Phool le janay ka wo irada acha hi tha tark kia tha
Tum thay phoolon se bhi zayada, mehkay mehkay,yaad rahay ga


Barish baad phoolon ka her ik manzir kitna nikhra tha
Bilkul waisay jaisay tere, Ujlay kapray,yaad rahay ga


kuch pak ki khamoshi ko phir kitnay pyar se khola tha
Jaisay lehar sahil ko choo ley,tum yun bolay,yaad rahay ga


Teri hassi ke ujlay pan mein hum aisay mehsoor huye thay
Saans ka jalna, talkhiye doraa'n, jo kuch bhoolay,yaad rahay ga


Tum se khafa tha wo shayad ik ja jo nahi takta tha
Apnay hi aanchal ke haato'n tum thay uljhay,yaad rahay ga


Main ne pehli baar tumhen yun itnay pyar se dekha tha
Jis pal tum baalo'n se apnay,hass ker khelay,yaad rahay ga


Tere mann mein basnay wali dunia kitni dilkash thi
Teri jheel si aankhon ke paar,hum jo utray,yaad rahay ga


Bhar ker tujh ko aankhon mein to aankhen ban ker daalen thi
Mann mein phir thay deep jalay, jaanay kitnay,yaad rahay ga


Jeewan ke kuch band dareechay hum per pehli bar khulay thay
Sehra mann pe abar ki soorat,tum thay barsay,yaad rahay ga


Hum bhi mann ki sari baaten tum se kehna chahtay thay
Tum ne bhi to pal mein kitnay moozu badlay, yaad rahay ga


Tum sung kuch pal chalnay ki bhi apni eik tamana thi
Tum anjaan se bethay thay aur hum thay tarsay,yaad rahay ga


Mujh mein sab kuch tera hai phir se ik khayal aaya tha
Tujh se mil ker shair jo hum ne , phir se likhay,yaad rahay ga


Meri laal bujhi aankhon mein iss darja veerani kyun?
Tum ne poocha aur aankhon mein, taaray chamkay,yaad rahay ga


Teri nazar mein door kahee'n ik doori ka bhi sehra tha
Hum ne bhi mohtaat nazar se,dekhay sapnay,yaad rahay ga


Tere dehaan mein behtay behtay kitna door aa niklay thay
Tum ne janay kya poocha tha,jo hum chonkay,yaad rahay ga


Apnay bholay pan pe mann mein kitni deir hi hasta tha
Tum ne kaha ishq dard,aziyat, hum kuch samjhay,yaad rahay ga


Ik dam se hi baaton mein yun ziker-e-judai aaya tha
Main ne tarap ke "acha" kaha aur,tum thay paltay,yaad rahay ga


Bebas meri aankhon ko to kab tak yaqee'n na aaya tha
Jab tak tu oojhal na hua tha,hum thay taktay ,yaad rahay ga


Shaakh ke 2 sookhay se pattay qadmo'n se aa liptay thay
Door falak pe dekha tha 2, taaray tootay, yaad rahay ga


Sooni raah pe tanha tanha dekh ke dil hairaan hua tha
Main ne hass ke dil se kaha tha,phir se bichray,yaad rahay ga

No comments:

Post a Comment