If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Wednesday 14 August 2013

Bohat Mumkin tha

Bohat Mumkin tha

Merey Paoo'n , Meri Zeest ke

Kaantey Nikal Jaatey

Bohat Mumkin tha

Meri Raah ke Pathar Pighal Jaatey

Jo Deewaarein Merey Raste mein Haayel Thein

Merey Aagey Se Hatt Jaatein

Agar Tum Aankh Utha Kar Dekh Letey

Kohsaaroo'n ki taraf Aik Pal

Chataanein Ik Tumhari Junbash-e-Abroo se Katt Jatein

Bohat Munkin tha Angaaroo'n Bhari Iss Zindegaani mein

Tumhaarey Paaoo'n ke Ujley Kanwal Khiltey

Rafaaqat ki Sunehri Jheel Mein

Dono ke Aks-e-Zofishaa'n Hiltey

Bus Ik Khaab-e-Musalsal ki Faza Rehti

Hamari Rooh kab Ham se Khafa Rehti ?

Yeh Sab Kuch Ain Mumkin Tha

Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey !

No comments:

Post a Comment