Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle
Wo b charhte hue sooraj k poojari nikle
Sab K hontoon pe mere baad hain batein meri
Mere dushman mere lafzon k bhikari nikle
Ik janaza utha maqtal se ajab shaan k sath
Jese saj kar kisi fateh ki sawari nikle
Behte ashkon se shuaoon ki sabelein photen
Chubhte zakhmon se fan-e-naqsh nigari nikle
Hum ko har doar ki gardish ne salami di hai
Hum wo pathar hain jo har doar main bhari nikle
Aks koi ho khad-o-khaal tumhare dekhon
Bazm koi ho magar baat tumhari nikle
Apne Dushman se main be-waja khafa tha
Mere qatil to mere apne hawari nikle..
No comments:
Post a Comment