Blog Of Urdu Poetry Contain Urdu Ghazals, Love Shayari, Sad Urdu Poetry, Romantic Urdu Poetry, And Famous Urdu Hindi Poetry By Famous Pakistani And Indian Poets..
If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks
Sunday, 16 June 2013
Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain
Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain to kya ab khwab din main bhi nazar aanay lagay hain?
na aankhain dekh sakti hain na hathon ki pohanch hai ye kaisay ab k pairon per samar aanay lagay hain
tumhain kehta nahin tha khaak main taseer bhi hai udhar dekho musaafir lout kar aanay lagay hain
bisaat e assmaaN se ab m'ri jaanib sitaary saf e sayyargaaN ko toR kar aanay lagay hain
bayabaaN paaoN se lipty huwye hain gard ho kar hamain dar'paish ye kaisay safar aanay lagay hain
abhi to koi aabaadi ki soorat bhi nahin hai abhi se bastiyoN main nauha'gar aanay lagay hain
abhi to milnay ki sa'at Saleem aai nahin hai abhi se dil main kaisay kaisay dar aanay lagay hain..
No comments:
Post a Comment