ajab khawhish machalti hey
mujhey sangat tumhaari kuch
hamesha aisey haasil ho …
key jismey phir zara si bhi
koee duuri na shaamil ho,
madhur ehsaas saa’nsoo’n ka
subh ki shoukh kirno’n key sang
meray chehray ko nermi sey
per apney piyaar ki germi sey
hamesha aisa bosa dey …
key main jaago’n khawbeeda si
khumaari mit nahi paaey,
yunhi khamosh reh ker phir
tumhaarey paas honey ka
khud mey ehsaas utaaro’n main,
chand lamhey aur baa’nhoo’n mey
tumhaari phir bitaao’n main,
palat key dekho’n jab tum ko
naram muskaam laboo’n pey un
saji kuch is tarah sey ho …
kisi piyaari sharaarat ko
machal jaaey ye dil mera,
magar main rok loon dil ko
aur faqt in ungliyo’n sey chhu key
wo muskaan churaao’n main,
sehla key baloo’n ko dheeray sey
tumhey aisey jagaao’n main,
aur tum kholo band aankhein jab
nazar bhar key mujhey dekho …
aur wohi lamha roz mujh mey
phir sey zindagi bhar dey,
ajab khawhish machalti hey
ajab khawhish machalti hey …
mujhey sangat tumhaari kuch
hamesha aisey haasil ho …
key jismey phir zara si bhi
koee duuri na shaamil ho,
madhur ehsaas saa’nsoo’n ka
subh ki shoukh kirno’n key sang
meray chehray ko nermi sey
per apney piyaar ki germi sey
hamesha aisa bosa dey …
key main jaago’n khawbeeda si
khumaari mit nahi paaey,
yunhi khamosh reh ker phir
tumhaarey paas honey ka
khud mey ehsaas utaaro’n main,
chand lamhey aur baa’nhoo’n mey
tumhaari phir bitaao’n main,
palat key dekho’n jab tum ko
naram muskaam laboo’n pey un
saji kuch is tarah sey ho …
kisi piyaari sharaarat ko
machal jaaey ye dil mera,
magar main rok loon dil ko
aur faqt in ungliyo’n sey chhu key
wo muskaan churaao’n main,
sehla key baloo’n ko dheeray sey
tumhey aisey jagaao’n main,
aur tum kholo band aankhein jab
nazar bhar key mujhey dekho …
aur wohi lamha roz mujh mey
phir sey zindagi bhar dey,
ajab khawhish machalti hey
ajab khawhish machalti hey …
:*----SAd HeARt---*:
No comments:
Post a Comment