If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Thursday, 24 April 2014

Jo Chal Sako To Koi Aisi Chaal Chal Jaana



















 
 
 
Jo Chal Sako To Koi Aisi Chaal Chal Jaana,

Mujhe Gumaan Bhi Na Ho Aur Tum Badal Jaana,

Yeh Sho'lagi Ho Badan Ki To Kya Kiya Jaye.

So Laazmi Tha Tere Pairahan Ka Jal Jaana,

TumheeN Karo Koi Darmaan Yeh Waqt Aa Pohncha,

Ke Ab To Chaara-Garon Ko Bhi Haath Mal Jaana,

Abhi Abhi To Judaai Ki Shaam Aaye Thi,

Humain Ajeeb Laga Zindagi Ka Dhall Jaana,

Saji Sajaaye Hui Maut Zindagi To Nahi,

Mo'arrikhon Ne Maqaaber Ko Bhi Mahal Jaana,

Ye Kya Ke Tu Bhi Issi Saayat-E-Zawaal Main Hai,

Ke Jiss Tarah Se Sabhi Soorajon Ko Dhall Jaana,

Har Ek Ishq Ke Baad Aur Uss Ke Ishq Ke Baad,

'Faraz' Itna Bhi Aasaan Na Tha Sambhal Jaana ...

Poet : Ahmed Faraz

No comments:

Post a Comment