Main Khud Ko
Is Qabil kab Sumjhta Tha
Tha Kiss Mein Itna Hosla
K Apne Khawab Ko Chu Le
Magr Ek Be Sada Aahat Pe
Jab Ye Khawab Tota Tou
Manzar Hi Kuch Or the
Na Wo Gul Nar Sa Chehra
Na wo Khawab Beida Si Ankhein
Na Sayah Dar Wo Palakien
Na Khushbo Mein Rachi Sansein
Na Shehad Agein Se Lub Us Ke
Na Un Par Haraf-e-Gull Koi
Mukamal Ek Nia Chehra
Mukamal Ek Nia Lehjaa
Wo Is Ka Youn Badal Jana
Tou Is Ki Ek Zarorat Thi
Khula Mujh Par
K Is K Pass Jeene Ki Fiqat
Ye Ek Zarort Thi
Wagarna Is Mein Kya Shak Hai
Use Mujh Se Mohabbat Thi
No comments:
Post a Comment