If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Thursday 13 December 2012

Khilonon Ki Dukaanon Mein


 
Khilonon Ki Dukaanon Mein Khalonay Hi Khailonay Hain,
Hazaaron Rang Hain In K, Hazaaron Roop Hain In K,
Kabhi Hanstay, Kabhi Rotay Kabhi Naghmay Sunaatay Hain,
Chamakti Motoron (Motor Cars) Mein Aanay Walay Khush Libaas o Khush_Numa Bachay,
Jidhar Dekhein, Jahan Par Haath Rakh Dain, In Khalonon K Wohi Maalik, Wohi Qaabiz, Wohi Aaqa Thehertay Hain,
Wo Chaahein To Kisi Lamhay
Jisay Chaahein Utha'ein Aur Chakna_Choor Kar Daalein,
Khalonon Ki Dukaanon Mein Wo Gudday Aur Gurriyaan Ab Nahi Miltay
K Jo Phat'tay Lahaafon Say Rui K Guchhon,
Purani Dhajjiyon Say Mil K Bantay Thay
Muhallay Bhar K Bachay Jin Ki Shadi Mein Baraati Ban K Aatay Thay
To Aisi Hi Musarrat Say Bhari Duniya Ki Baanhon Mein
Jawaan Hotay Thay
Wo Laakhon, Karroron Khush Nazar Bachay
K Jo Apne Inhi Khud_Saakhta, Biddhay Nahaayat Un_Gharray Sastay Khalonon Ko Mataa_e_Jaan Samajhtay Thay,
Inhein Apne Shikasta Ghar K Taaqon, Khirkiyon, Almaariyon Mein Yoon Sajaatay Thay,
K Jesay In Say Behtar Cheez Duniya Mein Kahan Ho Gi,
Yehi Bachay Jo Ab Hasrat Bhari Dazdeeda Nazron Say Khalonon Ki Dukaanon Mein Kabhi Jo Jhaankna Chaahein
To In Ko Aisa Karnay Ki Ijaazat Hi Nahi Milti
K Shellfon Mein Saja Ik Bhi Khilona In K Waaray Mein Nahi Hota
Ye Duniya Aisa Mandi Hai
Bilaa Qeemat Jahan Insaan Baichay Ja To Saktay Hain,
Khalonon Ka Magar Sauda Khasaaray Mein Nahi Hota,
Zamaanay Bhar K Bachon Ka Ye Mushtarika Wateera Hai,
Khonay Jab Milein In Ko To Wo Khush Ho K Hanstay Hain,
Magar Jab In Khilonon Say Bhari Oonchi Dukaanon Say Palat'tay Phool Say Bachay, Tehi Daman Aatay Hain,
Namm Aankhon Mein, Bharay Aansu Ba_Sad Mushkil Chhupaatay Hain,
To Lagta Hai
K Bachay Ab Nahi Hanstay,
Khilonay In Par Hanstay Hain ...~*~/


* cHaRmiNg PriNcE *

No comments:

Post a Comment