If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Sunday, 25 August 2013

Tu Dost Kisi Ka Bhi Sitamgar Na Hua Tha

Tu Dost Kisi Ka Bhi Sitamgar Na Hua Tha,

Auron Pe Hai Vo Zulm Ki Mujh Par Na Hua Tha,

Chhora Mah-E-Nakhshab Ki Tarah Dast-E-Qazaa Ne,

Khursheed Hanoz Us Ke Barabar Na Hua Tha,

Taufeeq Ba Andaaz-E-Himmat Hai Azal Se,

Aankhon Mein Hai Wo Qatra Ki Gauhar Na Hua Tha,

Jab Tak Ki Na Dekha Tha Qad-E-Yaar Ka Aalam,

Main Motaqid-E-Fitna-E-Mahshar Na Hua Tha,

Main Saada Dil Aazurdagi-E-Yaar Se Khush Hoon.

Yaani Sabaq-E-Shauq Mukarrar Na Hua Tha,

Dariya-E-Masi Tunuk Abhi Se Hua Khushk,

Mera Sar-E-Daaman Bhi Abhi Tar Na Hua Tha,

Jaari Thi Asad Daag-E-Jigar Se Mere Tahsil,

Aatash Qada Jaagir-E-Samandar Na Hua Tha ...

No comments:

Post a Comment