Daagh sare dho lye
jaan sanwer sanwer gayee
gham the ke khud hii tham ga.ye
shaam thii ke bikher bikher gayee
Jhagra tu saraa saqii aur rind ka tha
phr jaam tum ne bher diya
mastii tehr tehr gayee
Jis baat maiN koii dam na tha
wo bat shehr shehr gayee
jis rat maiN aankh nam na thii
wo raat sudher sudher gayee
shorish jaaN uthii mager
charagh khaamshii se jal gaye
tabiat khoud hi sanbhal gayee
Nazr idher udher gayee
firaq chahtoN maiN
qasoor sara dil ka thaa
Ju sazaeN milna thii
dill bechara bhugt chuka
qaza tehr tehr gayee.
jab bhii khushboo bam pe der ayee
bosa-e-lab kushaa hi huwa
gosh-e-shab-tenhayee sahar sahr gayee
serma kii dhuup chamak chamak uthii
titlyouN ke rang bher gaye
desht-o- janoo maiN her koyee
rasta bhatk gya
ham ke apne hii
desht-e-taghaful maiN gherqaaN rahe
shehr-e-aashob bars bars gyaa
aatish-e-gull shola fishaaN huwa
shab.nam khomoshi se uter uter gayee
KhuwaboN ke ghronde tabah huwey
khyaloN ke mandir dhe gaye
NigarshaiN ju bhii theeN ham ne likh deeN
na tu aasmanii saheefe the na koii manajat theeN
sab hikaytaiN terii meri theeN
so, ham se idher udher huweeN
ju shab guzer gayee
Damen tu ham ne rafoo ker dyaa
mager zat apnii bikher bikher gayee.
YOUn raat apnii guzer guzer gayee...
HEaRT StoLeR
dEfAuLtEr
No comments:
Post a Comment