Phoolon Ki Tahniyon Pe Nasheman Banaayiye,
Bijli Gire To Jashn-E-Charaaghaan Manaayiye,
Bijli Gire To Jashn-E-Charaaghaan Manaayiye,
Kaliyon Ke Ang Ang Men Meethaa Saa Dard Hai,
Beemaar Nikhaton Ko Zaraa Gudgudaayiye,
Kab Se Sulag Rahi Hai Javaani Ki Garm Raat,
Zulfen Bikher Kar Mere Pahloo Men Aayiye,
Bahki Hui Siyaah Ghataaon Ke Saath Saath,
Jee Chaahtaa Hai Shaam-E-Abad Tak To Jaayiye,
Sun Kar Jise Havaas Men Thandhak Si Aa Base,
Aisi Koi Udaas Kahaani Sunaayiye,
Raste Pe Har Qadam Pe Kharaabaat Hain"Adam",
Ye Haal Ho To Kis Tarah Daaman Bachaayiye ...
Poet : Abdul Hameed Adam
No comments:
Post a Comment