If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Thursday, 24 April 2014

Muntazir Kab Se Tahayyur Hai Teri Taqreer Ka



















 
 
 
Muntazir Kab Se Tahayyur Hai Teri Taqreer Ka

Baat Kar,Tujh Pe Gumaan Honay Laga Tasweer Ka

Raat Kya Soye K Baaqi Umar ki Neend Urr Gai

Khuwab Kya Dekha Dharkaa Lag Gaya Tabeer Ka

Kaisay Paya Tha Tujhe, Phir Kis Tarha Khoya Tujhe

Mujh Sa Munkirr Bhi To Qayil Ho Gaya Taqdeer Ka

Jis Tarha Badal Ka Saya Piyaas Bharkata Rahay

Main Ne Ye Alam Bhi Dekha Hai Teri Tasweer Ka

Ishq Mein Sar Porhna Bhi Kya, K Ye Be-Mehar Log

Joye Khoon Ko Naam De Dety Hain Joye Sheer Ka

Jis Ko Bhi Chaha Usy Shiddat Se Chaha Hai Faraz

Silsilah Toota Nahi Hai Dard Ki Zanjeer Ka ...

Poet : Ahmed Faraz

No comments:

Post a Comment