If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Thursday, 24 April 2014

Juz Tere, Koi Bhi Din Raat Na Jaanay Mere


 
 
Juz Tere, Koi Bhi Din Raat Na Jaanay Mere,
Tu Kahan Hai Magar Dost Puranay Mere,

Tu Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar,
Barg Aawara Ki Maanind Thikanay Mere,

Shamma Ki Lo Thi K Wo Tu Tha Magar Hijr Ki Raat,
Dair Tak Rota Raha Koi Sarhanay Mere,

Khalq Ki Be_Khabri Hai K Meri Ruswaai,
Log Mujh Ko Hi Sunatay Hai Fasanay Mere,

Lutt K Bhi Khush Hoon K Ashkon Say Bhara Hai Daaman,
Dekh Ghaarat_Gar Dil Ye Bhi Khazanay Mere,

Aaj Ik Aur Baras Beet Gaya Us K Baghair,
Jis K Hotay Huey, Hotay Thay Zamanay Mere,

Kaash Tu Bhi Meri Aawaaz Kaheen Sunta Ho,
Phir Pukaara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Nay Mere,

Kaash Tu Bhi Kabhi Aa Jaye Maseehaai Ko,
Log Aatay Hain Bohat Dil Ko Dukhanay Mere,

Kaash Auron Ki Tarha Main Bhi Kabhi Keh Sakta,
Baat Sun Li Hai Meri, Aaj Khuda Nay Mere,

Tu Hai Kis Haal Mein Ay Zood_e_Faramosh Mere,
Mujh Ko To Chheen Liya Ehad_e_Wafa Nay Mere,

Chaara_Gar Youn To Bohat Hain Magar Ay Jaan_E_Faraz,
Juzz Tere, Aur Koi Zakhm Na Janay Mere ....

Poet : Ahmed Faraz

No comments:

Post a Comment