Ye Meri Nazmein, Ye Meri Ghazlein
Tamam Teri Hikayetein Hain
Ye Tazkerey Tere Lutf Ke Hain
Ye Shair Teri Shikayetein Hain
Mein Sab Teri Nazr Kar Raha Hoon
Yeh Un Zamanon Ki Saa Atein Hain
Jo Zindagai Ke Naey Safar Mein
Tujhey Kisi Waqt Yaad Aaen
To Eik Eik Hurf Ji Uthey Gaa
Pahan Ke Alfaaz Ki Qabaaen
Udaas Tanhaaeeyon Ke Lamhon Mein
Naach Uththen Gi Apsaraaen
Mujhe Terey Dard Ke Alawa Bhi
Aur Dukh They Yeh Maanta Hoon
Mujhe Khabar Thi Ke Tere Aanchal Mein
Dard Ki Reit Chaanta Hoon
Magar Her Eik Baar Tujh Ko Choo Ker
Yeh Reit Rang E Hina Bani Hai
Yeh Zakhm Gulzar Ban Gaey Hain,
Yeh Aahe Sozan Ghata Bani Hai
Yeh Dard Moje Saba Huaa Hai,
Yeh Aag Dil Ki Dawa Bani Hai
Aur Ab Yeh Saari Mutaa E Hasti,
Yeh Phool Yeh Zakhm Sab Tere Hain
Yeh Dukh Ke Nohe, Yeh Sukh Ke Naghme,
Jo Kal Mere They Voh Ab Tere Hain
Jo Teri Furqat Teri Judaaee Mein
Kut Gaey Rozo Shab Tere Hain
Voh Tera Shaair Tera Mughanni ,
Voh Jis Ki Baatein Ajeeb Si Theen
Voh Jis Ke Jeene Ki Khuahishen Bhi
Khud Us Ke Apne Naseeb Si Theen
Na Pooch Us Ka Keh Voh Diwana,
Na Jaane Kab Kaa Ujar Chuka Hai
Voh Kohkan To Naheen Thaa Lekin
Kari Chatanon Se Lar Chuka Hai
Voh Thak Chuka Thaa Aur Us Kaa Teesha
Usi Ke Seene Mein Gar Chuka Hai
Voh Mar Chuka Hai, Voh Mar Chuka Hai ...
Ahmad Faraz
No comments:
Post a Comment