If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Tuesday, 20 August 2013

Husn-E-Pari Ik Jalwa-e-Mastaana Hai Us Ka

Husn-E-Pari Ik Jalwa-e-Mastaana Hai Us Ka,

Hushyaar Wahi Hai Ke Jo Deewaana Hai Us Ka,

Gul Aate Hain Hastee Mein Adam Se Hama-Tan-Gosh,

Bulbul Ka Ye Naala Nahin Afsaana Hai Us Ka,

Jo Chasm Ke Hairaan Hui Aaina Hai Us Ki,

Jo Seena Ke Sad Chaak Hua Shaana Hai Us Ka,

Wo Yaad Hai Uski Ke Bhula De Do Jahaan Ko,

Haalat Ko Kare Ghair Wo Yaaraana Hai Us Ka,

Yousuf Nahin Jo Hath Lage Chand Diram Se,

Qeemat Jo Do Aalam Ki Hai Begaana Hai Us Ka,

Aawaargi-E-Nikhat-E-Gul Hai Ye Ishaara,

Jaame Se Jo Baahar Hai Wo Deewaana Hai Us Ka,

Shukraan-E-Saaqi Azal Karta Hai 'Aatish'

Labrez Mai Shauq Se Paimaana Hai Us Ka ...

No comments:

Post a Comment