If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Sunday, 25 August 2013

Hui Taakheer To Kuch Baais-E-Taakheer Bhi Tha

 
Hui Taakheer To Kuch Baais-E-Taakheer Bhi Tha,

Aap Aate The Magar Koi Inaangeer Na Tha,

Tum Se Beja Hai Mujhe Apni Tabaahi Ka Gila,

Us Main Kuch Shaaib-E-Khoobi-E-Taqdeer Bhi Tha,

Tu Mujhe Bhool Gaya Ho To Pata Batlaa Doon,

Kabhi Fitraak Main Tere Koi Nakhcheer Bhi Tha,

Qaid Main Hai Tere Wehshi Ko Wohi Zulf Ki Yaad,

Haan Kuch Ek Ranj-E-Garaanbaari-E-Zanjeer Bhi Tha,

Bijli Kaund Gai Aankhon Ke Aage, To Kya,

Baat Karte, Ke Main Lab Tashna-E-Taqreer Bhi Tha,

Yousuf Us Ko Kahoon Aur Kuch Na Kahe, Khair Hui,

Gar Bigar Baithe To Main Layaq-E-Tazeer Bhi Tha,

Dekh Kar Gair Ko Kyun Ho Na Kaleja Thanda,

Naala Karta Tha Wale Taalib-E-Taaseer Bhi Tha,


Peshe Main Aib Nahi, Rakhiye Na Farhaad Ko Naam,

Hum Hi Aashuftaa-Saron Main Wo Jawaan 'Meer' Bhi Tha,

Hum The Marne Ko Khare Paas Na Aaya Na Sahi,

Aakhir Us Shaukh Ke Tarkash Main Koi Teer Bhi Tha,

Pakre Jaate Hain Farishton Ke Likhe Par Naahaq.

Aadmi Koi Hamaara Dam-E-Tahreer Bhi Tha,

Rekhta Ke Tumheen Ustaad Nahi Ho "Ghalib",

Kahte Hain Agle Zamaane Main Koi 'Meer' Bhi Tha ...

No comments:

Post a Comment