If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Thursday, 22 August 2013

Hawa Ki Aawaaz

Hawa Ki Aawaaz

Khushk Patto'n Ki Sar-sarahat Se Bhar Gai

Rosh-Rosh Par Fatada Phoolo'n Ne

Lakhon Nauhe Jaga Diye Hain

Sileti Shua'yein

Buland Pairro'n Par Gul Machate

Siyah Kawwo'n Ki Qafilon se ati hui hain

har ek janib khizan k qasid lapak rahe hain

har ek janib khizan ki awaz gunjati hai

har ek basti kashkash-e-marg-o-zindagi se nidhal ho kar

Musafiron ko pukarti hai k- Aao

Mujh ko khizan k bemahar

Talkh Ehsas se bachao ...

No comments:

Post a Comment