If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Sunday, 25 August 2013

Ay Ishq Kaheen Le Chal, Is Paap Ki Basti Se

Ay Ishq Kaheen Le Chal, Is Paap Ki Basti Se
Nafrat Gah-E- Aalam Se, Laanat Gah-E-Hasti Se
In Nafs Paraston Se, Is Nafs Parasti Se
Door Aur Kaheen Le Chal
Ay Ishq Kaheen Le Chal
Hum Prem Pujaari Hain Tu Prem Kanhayya Hai
Tu Prem Kanhayya Hai Ye Prem Ki Nayya Hai
Ye Prem Ki Nayya Hai, Tu Is Ka Khiwayya Hai
Kuch Fikr Nahi Le Chal
Ay Ishq Keheen Le Chal
Be-Rehm Zamaane Ko Ab Chor Rahe Hain Hum
Be-Dard Azizon Se Moonh Mor Rahe Hain Hum
Jo Aas Ki Thi Woh Bhi Ab Tor Rahe Hain Hum
Bas Taab Nahi Le Chal
Ay Ishq Kaheen Le Chal ...
Ye Jabr-Kadah, Aazad Afkaar Ka Dushman Hai
Armaanon Ka Qaatil Hai Umeedon Ka Rahzan Hai
Jazbaat Ka Maqtal Hai, Jazbaat Ka Mad-Fun Hai
Chal Yaan Se Kaheen Le Chal
Ay Ishq Kaheen Le Chal ...
Aapas Main Chaal Aur Dhoke Sansaar Ki Reetain Hain
Is Paap Ki Nagri Main Ujri Si Pretain Hain
Haan Niyaaya Ki Haarain Hain, An-Niyaaya Ki Jeetain Hain
Sukh Chain Nahi, Le Chal
Ay Ishq Kaheen Le Chal ...
Ye Dard Bhari Duniya Basti Hai Gunahon Ki
Dil Chaak Umeedon Ki, Saffaak Nigahon Ki
Zulmon Ki, Jafaon Ki, Aahon Ki, Karahon Ki
Hain Ghum Se Hazeen Le Chal
Ay Ishq Kaheen Le Chal ...
Aankhon Main Samaai Hai, Ik Khwaab-Numa Duniya
Taaron Ki Tarah Raushan, Mehtaab-Numa Duniya
Jannat Ki Tarah Rangeen, Shadaab-Numa Duniya
Lillah Waheen Le Chal
Ay Ishq Kaheen Le Chal ...
Ay Ishq Humain Le Chal Ik Noor Ki Waadi Mein
Ik Khwaab Ki Duniya Main, Ik Toor Ki Waadi Mein
Khoron Ke Khayalaat-E- Masroor Ki Waadi Mein
Ta-Khuld-E- Bareen Le Chal
Ay Ishq Kaheen Le Chal ...
Maghrib Ki Hawaon Se Aawaz Si Aati Hai
Aur Hum Ko Samandar Ke Us Paar Bulaati Hai
Shayad Koi Tanhaai Ka Daiss Bataati Hai
Chal Us Ke Qareen Le Chal
Ay Ishq Kaheen Le Chal ...
Ik Aisi Fiza Jis Tak Ghum Ki Na Rasaai Ho
Duniya Ki Hawa Jis Main Sadiyon Se Na Aai Ho
Ay Ishq Jahan Tu Ho Aur Teri Khudaai Ho
Ay Ishq Waheen Le Chal
Ay Ishq Kaheen Le Chal ...
Ik Aisi Jagah Jis Main Insaan Na Baste Hon
Ye Makr-O Jafa Pesha Haiwaan Na Baste Hon
Insaan Ki Qaba Main Yeh Shaitaan, Na Baste Hon
To Khouf Nahi Le Chal
Ay Ishq Kaheen Le Chal ...
In Chaand Sitaron Ke Bikhre Huwe Shehron Main
In Noor Ki Kirnon Main Tehri Hoi Lehron Main
Thehri Hui Lehron Main, Soi Hui Nehron Main
Ay Hizr-E- Haseen Le Chal
Ay Ishq Kaheen Le Chal ...
Ik Aisi Bahisht Aain Waadi Mein Pohanch Jayein
Jis Mein Kabhi Duniya Ke Ghum Dil Ko Na Tarpayein
Aur Jis Ki Baharon Main Jeene Ke Maze Aayein
Le Chal, Tu Waheen Le Chal
Ay Ishq Kaheen Le Chal -----

No comments:

Post a Comment