ye meri anaa ki shikast hai
na dawa karo na dua karo
jo karo tu bas ye karam karo
mujhe merey haal pe chor do
wo jo aik tarkash-e waqt hay
abhi us main teer bohat sey hain
koi teer tum ko na aa lagey,
merey zakhm-e dill pe na yoon hanso
na main kohkan hoon na Qais hon
mujhe apni jaan aziz hai
mujhe tark-e ishq qobool hay,
jo tumhain yaqeen-e wafa na ho
jo tumhaarey dil main shokook hain
too ye eh'hadd name fozool hain
jo merey khotoot hain phaar do,
ye tumhaari khat hain samait lo
jo kisi ko koi sataay ga
too gila bhi hontoo.n pe aay ga
ye too ik asool ki baat hai
jo khafa hai mujh sey koi too hoo
mujhe abb sadaoo.n sey kaam hai
mujhe khaal-o khad ki khaber nahi
too phir is farib sey
faida ye naqaab abb too utaar do
mujhe apney fuq'r pe naaz hai
mujhe is karam ki talab nahi
main gada nahi hon faqeer hon
ye karam gadaoo.n main bant do
ye faqat tumhaarey sawal ka
mera mukhtasar sa jawaab hai
ye gila nahi hai kholoos hai
meri guftugu ka asar na loo
ye udh'horey chand ki chandni bhi
undh'hairi raat main kum nahi
kahi ye bhi saath na chor dey
abhi roshni hai chaley chalo..
No comments:
Post a Comment