If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Sunday, 23 June 2013

December Ghazals Collection

1-
December ki sard hawaoo
Us se milo to kehna
K aaj bhe
Us ki yaad
Kisi k dil main
Mustaqil
Khaima zan hay
Koi aaj bhe usay
Uthtay,bethtay,sotay ,jagtay,
Hanstay,rotay
Yaad karta hay


December ki sard hawaoo
Us se milo to kehna

K aaj bhe
Kisi ki palkain
Sir e sham he
Us k intizar main
Beech jati hain,
Aaj bhe koi
Us kay liye
Udas rehta hay

December ki sard hawaoon
Us se milo toa kehna
K aaj bhe
Kisi k din rat
Us kay bin
Sogawar guzertay hain,
Aaj bhe
Kisi ki aankhain
Us kay liye
Num rehti hain

December ki sard hawaoo
December ki sard hawaoo
December ki sard hawaoo

2-

DECMBER lout aaya hai
Tumhare lout aane ki nai umeed jagi hai
Abhi peechley baras tumne
Mere haathon pe rakh k haath
Haya se mouh chupaya tha
Abhi peechley baras hi to
DECEMBER k maheney mein
Tumhein bahon mein thama tha
Aur
April aane tak
Tumhari jheel aankhon mein naya sapna sajaya tha
Mere chote se angan mein
Tumhein vehshat si hoti thi, Mujhe tumne bataya tha
Kisi ki qaid mein rehna
Mujhe acha nahi lagta
Main ik azaad panchi hoon
Suna hai phir se tanha ho
September k maheney mein
Aise buhat khamoosh rehte ho
K jiss ko tumne chaha tha
Wafa k naam se uss ko buhat vehshat si thi
Woh ik azaad panchi tha
Kisi ki qaid mein rehna usse acha nahi lagta
Suna hai mere angan ki
Tumhein ab yaad aati hai
Suna hai tum pashema'n ho
Chalo phir aisa kerte hain
DECEMBER ka maheena hai
Naya agaaz kerte hain
Tumhein baahon mein le loun main
Mere seeney pe sar rakh k
Haya se mouh chupa lo tum
DECEMBER lout aaya hai.......

3-

Suno!
December ki thitharti huii shaamien
Kohar ma lipti dhundaali si subhien
Darakhton se girte huye
Khushk zerd patte
Wo gaaon ke tamaam raste
Mohabbaton ke tamaam rishte
Khayaal abad kerte hain
Tumhein sub yaad kerte hain

4-
December Ki Udass rutt
lout ayi hay nami ankhon mein liye
aur keh rahi hay mujhe
k tere waste ab ki baar bhi
mere daman mein sirf tanhayi hay!!!

5-
usay kehna.............
december lout aya ha
hawayein sarad hein
aur zindgi?????
tanhaye k zindaan mein
larzaan ha.................. ...
usay kehna????????
dhoop nahe niklay ge
tou baraf kesay pehglay ge
usy kehna???????
agar wo lout na
aya tou!
sansein kesay ayein ge??

6-
December ab k aao tou
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa
Keh jis mein jugnuon ki kehkashaan jhilmilaati hay
Jahan titlee k rangon say fizaain muskarati hain
Wahan charon taraf khushboo wafa ki hay
Aur us ko jo bhi pooron say
Nazar say choo gia pal bhar
Mehak utha!

December ab ka aao tou
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa
Jahan per rait k zarray sitaray hain
Gul o bulbul,Mah o anjum wafa k ista’aray hain
Jahan dil woh samandar hay jis k kai kinaray hain!

December hum say na poocho hamaray shehar ki baabat
Yahan aankhon mein guzray kaarwan ki gard thehri hay
Muhabbat barf jaisee hay yahan
Yahan dil k lahoo mein
Apni palkon ko dabo ker hum
Sunehray khawb buntay hain
Phir unhi khawbon mein jeetay hain
Unhi khawbon pe mertay hain
Dareeda rooh ko lafzon say seena gou nahee mumkin
Magar phir bhi!
December ab k aaou tou
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa!!!

7-

Tuj Say Judai Ka Dukh
Tere Hijr Ka Karb
Dekh! Phir Say Aa Gai Hain
December Ki Sard Ratain
Azab Ratein
Tere Kurb Main Dobi
Khwab-Nak Ratain
Teri Wo Pur Noor Ratain

Tujhe Kia Khaber
December Ki Sard Ratoon Main
Tere Sung Beeti Sardion Ki
Khoshgawar Khobsurat Shamoon Ko Yaad Kerta Hoon
Is Mohoom Si Tamana K Sahare
Teri Talash My
Sarkoon Per Awara Phirth Hoon

Aate Jate Chehroon Main Tujhe Khoja Kerta Hoon
Shayad K Wo Tum Ho

Aur Thak Haar Ker Jo Laut.Ta Hoon
To Khud Per Khob Hasta Hoon
Phir !
Phoot Phoot Ker Roota Hoon

8-

JANURARY main phir dobara roshnio k diy,
jal uthay or FEBRUARY tay ker lia is aas main,
aaj kal main uski janib say koi paygham he,
MARCH or APRIL tak bhe ay to kia harj hay,
phir hoa youn daykhty he daykhty MAY aagaya,
or jalta JUNE intyzar main jhulsa gaya,
muntazir aankhain rahin chup chap JULAI gaya,
lay k sawan phir AGUST ka mahina aa gaya,
ho jo mumkin is hawaly say achanak aik din,
rang saary chahaton k lay k wo aajay to,
bheegi rut ka main tohfa SEEMA is ko jan ker,
sari talkhi bhol ker sangat main uski may kahin,
BIRTH DAY manao gi achy say resturant may,
aa rahi hy third SEPTEMBER ko, per ye kia hoa,
khuab sy jagi to OCTOBER k din thy aakhri,
wo na aya halki phulki thand apny sang sang,
lay k daby paon say aya NOVEMBER or gaya,
saal ka akhri DECEMBER rah teri takty hoy,
akhri lamho main dil bay saakhta dharka gaya,
or phir roi hoi aankhon ko jugnu aas ka,
day k saal-e-no ka youn aaghaz SEEMA ker dia,
JANUARY ki subh intyzar aankhon main bhara,
zindagi main kai saalon sy jo chalta aaraha hy,
silsila us daa-iray k JAN-E-JANA phir chal para

9-

December k mahine ka...,,,

Wo shayd panchwa din tha...,,,

Baras guzray kaee
Main ne "MOHABBAT"
lafz likha tha...,,,


Kisi kaghaz k tukray par...,,,



Achanak yad aya hey,

kisi se baat karni thi..,,

Usay kehna tha jaan-e-jaan..,,

Mujhey tum se MOHABBAT he...,,,

Magar main keh nahi paya...,,,

Wo kaghaz aj tak lipta para he dhool main lekin..,,

Kisi ko De Nahi Paya..,,

Doobara Chah Kar Bhi Me..,,


Muhabbat Kar Nahi Paya...!!!

10-

Woh december ki udas sham thi

jab gali k sunsan morr peh

us ne mera hath thama tha

kitney aram say us na kaha tha

"MUJEH BHOOL JANA"

me tu aj b heran hon

kaisey sooch liya usne

k itnaa asan hota hai

roh k rishtoon ko toor kar

rasta badal lena

kisi ko choor dana

faqat

yeah kah kar

k

"MUJEH BHOOL JANA"

11-

December ki kisi srd raat
Aisa b hoga...
Tere na aany ka sun kr
Meri aah srd hojaygi..
Hr daali zrd hojaygi..
Aur main
Ankhon mein
Munjamid yaqeen liye
Bohht Door chli jaaoongi..!!
Bohht door chli jaaoongi..!!

12-

Wo Beetay Din Yaad Hain
Wo Darshan Yaad Hain
Guzaray Teray Sang Jo
Bita Kay Teray Ang Jo
Wo Muskurana Tera
Wo Gungonana Tera
December Ka Sama
Wo Bheegi Bheegi Sardiyaan
Wo Mousam Kia Howa
Na Janay Kaha Kho Gia
Bas Yaadain Baaki Hain
Bas Yaadain Baaki Hain

13-

Suno December...!!!

Zara sa Tehro...
Abhi to baqi hain mere Arma'n
Mujhey bitaney hain chnd Lamhey
Tumhari Thandi Panahon main Ab....


Suno December Ki Sard Ratoon....!!!

Zara sa Tehro...
Guzartey Mah-o-Din ki raten
Akeley Pan main guzar chuki hain..
Suno in jagti si ratoon ko
Chnd aik sapney udhar dey do....


Suno December ki Bhegi Shamoon...!!!

Zara sa Tehro
Tumhari thandi thandi chaya main
Ajub sukoo'n sa basa huwa hai
Ye bheegey bheegey shajar hain aisey
Hon Merey jeevan ka Aks jesey....


Suno December Ki Ae Hawaon
Mujhey Bikharney ka darr laga hai
Zara sa aa k mujhey Sambhalo
K ab k thandi hawaon main hi
Main Apna jeevan guzaar daloon

Suno December...!!!

Abhi Na Guzro...

Abhi To Baqi Hain Mere Arma'n...

14-


december ki thatharti aik shab woh mere paas aai

mujhay kehnay lagi keh!

Aaj sab kuchh chhor aai hoon

tumharay pyar main saaray hi rishtay tor aai hoon

woh ghabrai hui, tooti hui, bikhri hui larki

mujhay kehnay lagi keh

utho!!!!!

Yahan se door chaltay hain

bohat he door chaltay hain

tumharay bin kissi soorat mujhay zinda nahin rehna

woh zaaar-o-zaar ro di, aur phir mujh main simat aai

woh apnay aanso;oon se bas yahi faryaad karti thi

chalo jaldi karo

iss shehar se hum bhag chaltay hain

bohat hi door chaltay hian
uss aik saa; at mai main nay baar haa socha

keh uskay hukam par,

uskay kahay par sar jhuka doon

yeh socha baar haa,

usko bhaga kar door le jaoon

woh ik tooti hui larki

woh mere payar main mehki hui

masoom si larki

mere seenay se lag kar der tak roti rahi

uss shab

woh iss ehsaas main gum thi

keh manzil mil gaee ussko

mere khamosh chehray ki taraf woh dekhti

bas dekhti jaati

uss ik saa;at mere andar kayi toofaan barpa thay

najanay kiss tarah main nay

kaha uss se

keh bas ab laut jao

laut jana phir nahin aana

"khuda ra phir nahin aana"

meri yeh baat sun kar

uss nay ik be yaqeeni se mujhay dekha

woh larki shidat-e-gham se tarap uthi

sulag uthi

sakoot-e-marg kay aalam main

woh darwazay ki janib aik dam lapki

woh larki phir nahin aai

woh ik bikhri hui larki

kabhi wapis nahin aai

bohat din baad kal dekha

ussay ik ajnabi ke sath gaari main

aur uski gaud main payara sa ik bacha

humakta tha,

woh larki kis qadar khush thi

bohat chaha tha keh main uss ko bhaga kar door le jaoon

bohat chaha december ki thatharti raat laut aaey.....

No comments:

Post a Comment