If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Thursday, 20 June 2013

ik kaamni aur nazuk sii larki



ik kaamni aur nazuk sii larki

taqdeer sey larr rahi hai

apnay bikhray khwaboN k raizay chuntay

dil mein ro rahi hai

uss ki khata yeh hai k

woh apnay dil mein kissi ko

dhadkan ki tarah basa chuki hai

jo bina sochay samjhay hi

apni qismat aazma chuki hai

ik khush kin ehsaas k tabay

aankhoN mein kuch sapnay saja chuki hai

woh dheeray dheeray 

sulag rahi hai

woh roz jeeti hai, roz marti hai

lekin!

uss k apnay uss ki kafiyat sey

bey khabar hain

woh uss ki chup ko, uss ki udaas masoom aankhoN ko

bes uss mein ik "change" samjhtay hain

aye Kaash!

woh larki itni to bey bas naa hoti

ussey itna to haq milta

k
woh apni zindagi apni marzi sey guzar sakti

lekin hayrat hai k aaj k dour mein bhi

yeh sab sirf socha hi jaa sakta hai!!!

jisay woh chahti hai mil jaaye to moujza

naa milay to taqdeer hai

woh pagal abhi bhi akeli kharri

yehi soch rahi hai

k!

iss baar jeet kis ki ho ghi

moujzay ki ya qismat ki???

No comments:

Post a Comment