Abhi to saal guzra tha
Abhi tum saath thay mere
Isi khaamosh saahil per
bohat gum sum se bethay thay
Kisi tasveer jese thay
Agar main sach kahon jana
Meri tabeer jese thay
Jahan per tum ne khagaz ki
Bohat choti c nao ko
Bari chahat se himmat se
Samandar mein utara tha
Bohat dilkash nazara tha
Tmhare hosle per kis qadar
heraan ye lehrain
Tumhain hairat se takti then
Bipherti thin machlti then
Magar tum un se bey perwa
bas apni soch mai gum thay
Hamari aankh mai tum thay
Tumhe kuch yaad hai picnic per
hum ne geet gaya tha
Tumhain dil mein basaya tha
Jahan hum tum se milay thay
Or phir aankhon he aankhon mein
Kai sadyaan guzaari thein
Meri saansain tumhari thein
Abhi to saal guzra tha
K jab tum mere shaano per
Achanak haath rakh ker
chupke chupke mujh se kehti thi
Mohabbat to ibadat hai
mohabbat to sa'aadat hai
Mohabbat faiz ka daria hai
jise din raat behna hai
Hamain ek saath rehna hai
Ye dukh sukh saath sehna hai
Abhi kuch dair he pehle
Tumhari aankh k jhil mil
tarayHum se kehtay thay
hamara naam lete thay
hamain peghaam dete thay
Tumhara saath na choothay
Hamara khwaab na tootay
Magar ye saal kesa hai...??
Kisi ne bhi nahi poocha
hamara haal kesa hai..??
Wohi saahil wohi mosam
wohi qissay wohi rastay
Wohi sab kuch to hai jana
Magar ab tum nahi meray
Bas aik ehsaas rehta hai
Gaya waqt lamhe lamhe
aansoon k saath behta hai
Ye kesa saal guzra hai..??
Ye kesa saal guzra hai...???
No comments:
Post a Comment