Raat phir khawaab main aa kar mujhse
Meri maaa ne kuchh sawaal kiye
Usse pahley mujhey duaa ye di
Khuda karey ki tu sau saal jiye
Unki aankhon main muhabbat bhi thi
Afsos bhi tha
Ek aaNsu bhi tha un aankhon main
Jo chillata bhi tha, khamosh bhi tha
Mujhse poocha ki betey kaisey ho
Koi diqqat to nahin hai tumko
Phir kaha
Tumko maloom hai kya
Main badi takleef main hoon
Jab se laiti hoon so nahin payee
Tumhaari wajah se main khul ke ro nahin payee
Terey gunaah mujhko saanp banke danstey hain
Farishtey aakar har roz fiqrey kastey hain
Tumhi bataao beta mainey kya kami ki thi
Merey samjhaney main kami thi kya
Ya meri tarbiyat adhoori thi
Kyon burey kaam roz kartey ho
Kyon nahin us khuda se dartey ho
Jisney tumko ye jaan bakshi hai
Jisney tumko amaan bakshi hai
Laut kar jiske paas jaana hai
Kya usey munh nahin dikhana hai
Kya tumhein is liye parhaya tha
Kya tumhein yehi sab sikhaya tha
Ki apney ilm par Guroor karo
Apney nafs ko masroor karo
Jab bhi bolo to bas galat bolo
Zulm dekho to lab nahi kholo
Bhool kar deen bhool kar mazhab
Apni auqaat note main taulo
Sach batao ki kya ye qissa hai
Kya ye andaaz meri tarbiyat ka hissa hai
Mujhko afsos nahin ki tu mujhey bhool gaya
Ranj ye hai ki mera jeena hi fizool gaya
Main to Jee key bhi roz marti hoon
Main tujhey roz yaad karti hoon
Jis tarah jeeney ka agaaz kiya hai tuney
Uskey anjaam se main darti hoon
Khuda karey ki tujhey ab bhi samajh aa jaye
Koi to aakey tujhey seedhee raah dikha jaye
Ki ikhtitaam ho teri gunah ki shaamon ka
Mujhey bhi ajar miley terey naik kaamon ka !
By
Muhammad Akram
No comments:
Post a Comment