Aye Maa Tu Hum Ko Bhool Gayi Hai
Hum Nahi Tum Ko Bhoole
Yaad Hain Ab Tak Bahon Ke Tere
Hum Ko Woh Pyaare Se Jhoole
Rab Ne Tha Bejha Tujhe Tohfa Bana Kar
Yeh Ihsaan Kaise Chuqata
Tere Hone Se Rehmat Yun Ghar Pe Thi Chayi
Tere Badle Main Kis Ko Main Lata
Kaash Tu Bhi To Sunti Jo Hum Ko Tha Kehna
Bin Tere Tanha Nahi Hum Ko Yun Rehna
Ab Pata Chala Hai Hum Ko Ke Janat Meri Kahan Hai
Janat Wahan Hai Meri Jis Ghar Main Meri Maa Hai
Kaun Hai Woh
o Tumhein Pyaar Karti Hai Tum Jaise Bhi Ho
Kia Tum Ko Yeh Pata Hai Bala Kaun Hai Woh
Sare Dukh Woh Tumhare Khud Hi Seh Jaye Jo
Phir Bhi Kuch Na Kahe Arre Kaisi Hai Woh
Jis Ke Dil Ki Yeh Duwa Hai Aanch Tum Par Na Aaye
Kabhi Tum Pe Padhe Na Mayoosion Ke Saaye
Duniya Main Na Aisa Koi Us Rishte Jaisa
Us Se Rab Ne Hai Yun Bejha Tohfa Bana Ke Aisa
Tumhein Lag Jaye Omar Us Ki Karti Hai Duwayen Jo
Aik Maa Ke Siwa Bolo, Kaun Ho Sakta Hai Woh
Jo Tumhein Pyaar Karti Hai Tum Jaise Bhi Ho
Kia Tum Ko Yeh Pata Hai Bala Kaun Hai Woh..
Muhammad Akram
No comments:
Post a Comment