If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Thursday 22 December 2011

Aakhri Chandd Din December Ke




Aakhri Chand Din December ke

Har Baras Hi Garaan Guzartay Hain

Khuwahishoon k Nigar Khanay Se

Kaisy Kaisy Gumaan Guzartay Hain

Raftigaan k Bikhray Sayoo Ki

Ik Mehfil Si Dil Mein Sajti Hay

Phone Ki Diary k Safhoon Se

Kitny Number Pukarty Hain Mujhy

Jin Se Marboot Be-Nawa Ghantii

Ab Faqat Mere Dil Mein Bajti Hay

Kis Qadar Pyary Pyary Namoon Par

Reengti Bad-Numa Lakeerein Si

Meri Aankhon Mein Phail Jati Hain

Naam Jo Kat Gaye Hain

Un k Harf

Aisy Kaghaz Par Phail Jatay Hain

Hadsay k Muqam Par Jaisy

Khoon k Sookhay Nishanoon Par

Chaak Se Liney Lagaty Hain

Phir December k Aakhri Din Hain

Har Baras Ki Tarah Ab k bhi

Diary Ik Sawal Karti Hay

Kya Khabar Iss Baras k Akhir Tak

Mere In Be-Charagh Safhoon Se

Kitnay Number Bikhar Kar Rastoon Mein

Gard Mazi Se Att Gaye Hon Ge

Khaak k Dhairoon k Daman Mein

Kitnay Toofan Simat Gaye Hon Ge

Har December Mein Sochta Hoon

Rung Ko Roshnee Mein Khona Hay

Ik Din Iss Tarah bhi Hona Hay

Apnay Apnay Gharoon Mein Rakhi Hoyi

Diary Dost Dekhty Hon Ge

Un Ki Aankhoon k Khaak-Danoo Mein

Ek Sehra Sa Phailta Hoga

Aur Kuch Be Nishan Safhoon Se

Naam Mera bhi Katt Gaya Ho Ga…!!!










HEaRT StoLeR

0315-3929399

No comments:

Post a Comment