Blog Of Urdu Poetry Contain Urdu Ghazals, Love Shayari, Sad Urdu Poetry, Romantic Urdu Poetry, And Famous Urdu Hindi Poetry By Famous Pakistani And Indian Poets..
If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks
Monday, 31 May 2010
DediCate Tooo GuRiYa
dedicate To GuRiYAa
jab Main Gher sey nikal raha tha
chalte chalte
merey seeney sey hat'tey pal
Dheerey sey ik sarghoshi main
Usney Kaha Tha....
Dekhain,
Cahahey kuch bhi hojaye
Rooz mujhe RING kijiyega
Phir jb uskey Haath or nazrain meri TiE per thi
Kehney Lagi....
Aap nahi hotey hain to bilkul Akeeli hojatin hon Chorr nahi saktey Yeh BUSINESS!
Aap mujhe Q tarrpatey hain
Acha dekhain yon kertay hain
Aik din khat aur aik din Phone....
Mainey Osko Boosa de ker
Usey Kaha Tha
Ab Key Chahey Kuch hojaye..
Khat likhounga Phone karounga
Haaye! Lekin Khud sar'fitrat
aur kuch aur karobaar ke jhanjhat
Na to usko phone kya tha
aur Na hi koi Messege naa hi Card
Ab jo gher ko laut raha Hon
sooch raha hon
tanhayi k Yeh do Haftey
Usper Sadiyon jese Hongey
Lekin yeh bhi janta hey dil
usko Be'hadd shikwey honge
tarrpi hogi
Chupp ker takiye mai raaton ko rooyi hogi
Khafa khafa si
Lekin....!
Gher main dakhil hokar
main uskey maathay per ik Boosa Dounga
un Hoonto per Hoont rakhounga
Aur kahonga....
Yar mujhey Tum Yaad Aayi Thi
Lamhey lamhe mai so baar..
Bus itna hi kehna Hoga....
Aur woh pagli apna sab kuch sonp kar Mujhko Mere seene se lag jayegi phir jab uska haath or nazrain Dono mere seene k baalon per hongey (woh seene jo un Ashkon se bheega Hoga)
sargoshshi mai mujhse kahegi
Aap bhaley ab kuch b karlain hargiz ab na janey Dongi
Sachi app to boht bure hain
bhot bure Hain........
"HEarT StoLer"
MisSinG GurIyA
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment