If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Monday 8 February 2010

Mein Apni Pyas Pr Khamosh Thi



mein apni pyas pr khamosh thi
aur reg sehra ki tarha se zindagi ko dhoop ka tukra samajhti thi
kbi serab honey ki tamana ne
badan mein sar uthaya b
to apney dil se mein ne ma'zrat kr li
kaha iss se
k andar aag kesi hi bharakti ho
mjhe baarish ki janib aankh utha kr dekhney ka haq nhi hai
zuba(n) pr aabley partey rahein
lekin mjhe shabnum nhi chakhni
mjhe badlon k hathon se koi tuhfa nhi lena
nami ki ek hi soorat hai meri zindagi mein
aur wo aansoo hai!!
magar jb se kisi lehjay k num ne
merey dil ki ret ko a kr chua hai
merey andar
mukamal bheeg janey ki tamana jag uthi hai
lahoo mein ab merey bas aatish siyal hai
aur jism angarey ki tarha se dehakta hai
magr kya bakht hai mera
k darya choom kr mera kinara
chor deta hai
sarapa tishnagi hoon
aur bhara pyala labon tk la k koi
khench leta hai.....!!!!


Be HoNesT WitH mE... 0332-4803027

No comments:

Post a Comment