If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Monday 11 January 2010

Pyar karta hun main tumhai



Pyar karta hun main tumhai ,
Aasman main chamakte sitaron se bhi jaada.
Pyar karta hun main tumhai ,
Hamare saath bitaye huye har haseen lamhon se jaada.
Pyar karta hun apni har sanson se jaada ,
Or un vaadon se jaada jo hamne kiye the.
Pyar karta hun main tumhai.

Chahata hun us fool ki tarha
jise barish ka intzaar hai,
chahata hun tumhai us dard ki tarha jise,
tere sparsh ka intzaar hai,
chahata hun main tumhai
un dino se jaada jo mene apni jindgi main jiye hain,
chahata hun kyunki chahati ho tum mujhe,
or yakeen bhi ki chahati ho tum mujhe

yaad aati ho hamesha,
yaad aati ho kyunki jarurat ho meri tum
yaad aata hai tumhara mujhe chuna,
yaad aati ho tum mujhe apne aap ke liye ,
apne har khwab ke liye.
Yaad aati ho kyunki tum janti ho
Ki tum kya ho mere liye

Main tumhai mangta hun,
Apni ankhon ke liye jo kahana chahati hai tumhai ,
or dikhana bhi ki kitna pyar hai tumhare liye un main.
Main mangta hun tumhai ,
Apne is dil ke liye jo tumhai apni har dhadkan ki,
aawas sunanan chahata hai ,
mangta hun tumhai kyunki,
main kahana cha hata hun tumhai,
ki main tumhai behad pyar karta hun,
kahana chahata hun ki mujhe jarurat hai ,
tumhari or main tumhare bina ji nahi sakta,
main mangta hun tumhai,
or mangta rahunga bhi
kyunki main apni jindgi ke bina
jee nahi paa raha hun.

Be HoNesT WitH mE...
0332-4803027

No comments:

Post a Comment