If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Friday, 22 January 2010

Sheeshay Ke Aainey Main Dekhti Hai Woh Khamosh Naazrein


Kahani Ek Dulhan Ki .....!!


Sheeshay Ke Aainey Main Dekhti Hai Woh Khamosh Naazrein.
Ghunghat Main Chehra Chupaai Hoii.
Aankhon Main Kajal Sajaye Hoii.
Chorr Ke Apna Ghar Aangan
Chali Ayee Dulhan Ek Naye Duniya Bassaney.
Hogayii Paraii Jahan Beeta Apna Bachpan.
Aur Jawaani Ki Haseen Raahein.
Aapna Na Hai Who Sansaar.
Jis Main Banani Hai Naiii Kahaani.
Mathey ki Bindiya Kuch Kehti Hai Uss Se.
Haatho Ke Kangan Khankate Hai.
Jaisey Kehtey Hai Rukh JA Ree Saakhi..
Na Chor Woh Raahein.
Jis Me Khela Tera Bachpan.
Chorr Ke Apna Ghar Aangan.
Chali Ayii Dulhan Ek Naii Duniya Bassaney.
Laal Jodhey Main Saji Hai Aisey Aankhon Main Ek Sapna Lekey.
Dil Main Jagi Hai Aisi Umag.
Khushiyon Se Bhara Hai Woh Naya Jevaan.
Jahan Lagey Woh Paraiii Bhi Apney.
Jahan Saathi Ho Pyaara, Aur Khushiyon Ka Aalam Ho.
Phri Bhi Udaas Si Lagti Hai.
Us Ki Nazar Keh Jati Hai.
Us Ne Annkahii Si Baatein.
Yaad Dilati Hai, Woh Bethey Dil
Woh Khamosh Galiyon Ki Raahein.
Phir Bhi Nibhana Hai, Woh Reet Purani.
Chor Ke Apna Ghar Aangan
Chali Aaii Dulhan Ik Naye Duniya Basaney....!!!



Be HoNesT WitH mE...

No comments:

Post a Comment