If Any One Want Share Your Own Request On My Blog Page.. So Write Your Poetry Request In Comments ... I'll Share On My Blog page... Thanks

Monday, 2 February 2015

Safar malaal ka hai aur chal rahi hoon main

alone girl
 
 

Share On My Blog By Afzaal Prince



Safar malaal ka hai aur chal rahi hoon main

 
ghubaar-e-shab ki udaasi mein Dhal rahi hoon main


Ajeeb barf ki baarish badan pe utri hai

 
k jis ki aag mein chup chaap jal rahi hoon main 


Phir ik charaagh jala shaam ki haveli mein

 
phir eik dard se aakhir sanbhal rahi hoon main


Yeh rakh rakhaao usay jaan'ne naheen de ga!

 
ke apne aap mein kese pighal rahi hoon main


Yeh ishq sach se juda kaise ho gaya jaanaan?

 
ab is savaal se baahir nikal rahi hoon main


Bas eik ishq meri zaat par saheefa ho

 

mere khuda! yeh aqeeda badal rahi hoon mein...*


Friday, 30 January 2015

Qurbaton mein bhee judai key zamanay mangay





share on my blog By Sheharyar Sajid



Qurbaton mein bhee judai key zamanay mangay



Dil woh be-mehar ke ronay key bahanay mangay



Hum na hotay tu kisi aur key charchay hotay



Khulqat-e-shaher tu kehnay ko fasanay mangay



Yahi dil tha ke tarasta tha marasim key liay



Abb yahi tarkey-taaluq key bahanay mangay



Apna yah haal keh ji haar chukay lut bhi chukay



Aur mohubaat wohee andaaz puranay mangay



Dil kisi haal pah qane`h hi nahin jaan-e-FARAZ



Mil gaay tum bhee tu kaya aur na janay mangay...

Dil ki baat labon par





share on my Blog by Sheharyar Sajid





Dil ki baat labon par la kar ab tak ham dukh sehte hain



Ham ne suna tha is basti mein dil wale bi rehte hain






Beet gya sawan ka mahena mosam ne nazrain badlen


Lekin in payasi aankhon se ab tak aansoo behte hain






Aik hmain awara kehna koi bara ilzam nahi


Dunya wale dil walon ko aur bohat kuch kehte hain






Jin ki khatar shehr bi chora jin ke liye badnaam hoye


Aaj wohi ham se begane begane se rehte hain






Wo jo abi is rah guzar se chak greban guzra tha


Us awara dewane ko jalib jalib kehte hain...


Nazar jab us se milti thi by Sheharyar Sajid





share on my blog by Sheharyar Sajid



Nazar jab us se milti thi



Men khud ko bhool jata tha.


Bas ik dharrkan dharrakti thi


Men DIL ko bhool jata tha.


Ussay milney se pehley men boht sajta sanwrta tha.


Magar jab wo sanwarti thi.


Men khud ko bhool jata tha.


Men aksar kitabon pr


Usi ka nam likhta tha.


Magar kuch wo jo likhti thi.


Men likhna bhol jata tha.


Men aksar hi ye kehta tha.


Men tum se pyar krta hon.


Mgr jab wo ye kehti thi.


Me dunya bhol jata tha…!

Wo kon tha jo mujhy By Sheharyar Sajid





share on my blog By Sheharyar Sajid




Wo kon tha jo mujhy aisy mila k koi gham na raha,



Jo dour reh kr b mujsy dour na raha,






Jany kab sy hamy uski talash thi.


Jb btana chaha usy tou koi lafz na raha,






Usy dakhny ki chah me nighahen tarsi hy meri


Or jb nigha mili tou waqt hi na raha ,






Lamha lamha uski yado me hi guzar jata hy.


….Sagar…..




Wo tabir tou hy meri lekin ab koi khuwab na raha..!


Wednesday, 30 July 2014

Loog Loog Hote Hein


Loog Loog Hote Hein
Roshni Ki Khuwahish Main
Yahan Sadaein Laane Ki
Kuch Saza To Milti Hai
Loog Loog Hote Hen
Loog Loog Hote Hein
In Ko Kya Khabar Jana Ap K Eradoon Ki
Khub’suraat Ankhoon Main
Bas’ne Waloon Khuwaboon K
Rang Kaisay Hote Hein
Loog Loog Hote Hein
Dil Ki Goud Ankhoon Main Pal’ne Walay Khuwaboon K
Zakhaam Kaisay Hote Hein
Kitne Geh’ray Hote Hein
Kab Yeh Soch Sakhte Hein
Ayesee Bai’Ghu’naa Ankhen
Ghar K Konay’Khud’ray Main Laag Kar
Kitna Roote Hen
Phir B Yeh Apne Jaisay Kisi
Ghaam’Zada Dil Say Lag K Rooone Lagte Hein
Loog Loog Hote Hein
Toh’matein To Lagti Hain
Roshni Ki Khuwahish Mein
Toh’matoon K Lagne Say
Dil Say Dost Hoo Jaana
Ab Nee’Dhaal Kya Karna
Tohmatoon Say Kya Darna..!

Sunday, 1 June 2014

Jaan - e - Jaana Tum Kehti TheeN



Jaan - e - Jaana
Tum Kehti TheeN,
Jaanu Aap ! Mere Bachche Ho,
Mujh Ko Aisa Lagta Hai
Tum Orrh Ke Mere Lahoo Ko
Mere Badan Mein Soye Rehay Ho
Meri Rooh Ka Nasha Pee Kar
Mere Andar Khoye Rehay Ho
Mere Jism Ka Hi Hissa Ho

Jaan - e - Jaana
Tum To Kehti TheeN,
Jaanu Aap Mere Bachche Ho
Lekin Aise
Jis Ko Main Aanchal Ke Goshon Mein To
Chhupa Kar Rakh Sakti Hoon
Jis Ko Aankh Ki Putli Mein PinhaaN To Kar Sakti Hoon
Is Bachche Ko
Jaanu ! Aap Ko
Duniya Ki Nazron Mein Lana Mumkin Nahi
Bara Kat'thin Hai
Is Dharti Ki Zalim Rasmein
Sab Jhagre Aur Sabhi Masaa'il
Kab Tasleem Nahi Hain Mujh Ko
Lekin Jaana
Ye Batlao
Kya Koi Maa
Apne Bachche Ko Sardi Mein
Khuli Hawa Mein Veeraan Sarak Par
Raat Ki Bheegi Tanhai Mein
Sun-Sun Karti Hui Hawa Ke JhoNkoN Ke Maqtal Mein
Chor Ke Tanha
Manzil Wali Roshan Raah Par Chal Sakti Hai
Kya Koi Maa
Aisa Bhi Kar Sakti Hai
Lekin Tum Ne Yehi Kiya Hai
Jaan - e - Jaana ...

Poet : Wasi Shah